Gauri us ghar mein paida hui thi
jahan betiyon ka pyar hissa nahi hota,
sirf farz hota hai.
Maa ke liye wo beti nahi thi.
Bas ek aur haath thi
jo kaam kar sake.
Bachpan mein jab Gauri roti thi,
maa kehti thi— “Chup reh. Shalu ko jaga degi.”
Aur jab Shalu roti thi,
maa daud ke aati thi.
Gauri ne bahut chhoti umar mein samajh liya tha
ki is ghar mein do betiyan nahi hain—
ek beti hai, aur ek zimmedari.
Baap jab ghar aata,
Shalu se poochta— “College kaisa chal raha hai?”
Gauri se kabhi nahi poocha gaya
ki usne din bhar kya kiya.
Uske haath hamesha geele rehte—
bartan, kapde, farsh.Aur dil hamesha
sukha.
Kabhi kisi ne use nahi mara,
par use mehsoos karaya gaya
ki wo chahiye hi nahi.
Yeh dard sabse gehra hota hai.
Shalu ghar ki shaan thi.
Sundar, tez, aur bolne wali.
Maa uske baal sanvarti,
uske liye khaas sabzi banati,
aur Gauri se kehti— “Didi ka dhyaan rakh.”
Jaise Gauri uski maa ho.
Shalu ko pata tha
ki wo special hai.
Aur usne kabhi yeh chhupaya nahi.
“Tu meri jagah hoti toh main toh marr jaati,”
Shalu hansi hansi mein bol deti
Gauri chup Rehti
Shalu ka pyaar bhi sabko pata tha.
Gaon ke us ladke se milna,
chhat par khade hoke intezaar karna,
raat ko chupke muskurana—
Maa jaanti thi.
Par maa ne kuch nahi kaha.
Kyuki Shalu galat bhi kare,
toh bhi Shalu hi rahegi.
Aur Gauri sahi hokar bhi
kabhi kuch nahi ban sakti thi.
Us raat Gauri ko Shalu ki awaaz se neend khuli.
“Maa so gayi?”
Gauri ne haan mein sir hila diya.
Shalu ne apna bag uthaya.
Usme zyada kuch nahi tha—
bas kapde aur apni zidd.
“Tu kisi ko bataogi?”
Shalu ne poocha.
Gauri ne pehli baar uski aankhon mein dekha.
Usme darr nahi tha.
Sirf apni zindagi jeene ki jaldi thi.
“Nahi,” Gauri boli.
Subah ghar mein toofan aa gaya.
Maa zameen par baith kar ro rahi thi.
Baap cheekh raha tha.
Gaon wale darwaze par jama the.
“Daroga ji ki hone wali bahu bhaaggayi!”
Us din pehli baar
Gauri ko naam se nahi,
behen se pehchana gaya.
“Uski behen hai na?”
“Khoon toh ek hi hai.”
Maa ne Gauri ke muh par thappad nahi mara,
bas itna bola—
“Ab jo hoga, tu bharegi.”
Us pal Gauri ko samajh aa gaya— Shalu ne sirf ghar nahi chhoda,
apni jagah chhod di.
Aur wo jagah
ab Gauri ke liye rakhi ja rahi thi.
Thank you everyone
Bye bye take care
This is the new story with different plot twist
i hope u guys will also loved this book


Write a comment ...